Header Ads Widget

Ticker

6/recent/ticker-posts

Kisi Website Ke Link Me Http Aur Https Ka Kya Matlab Hota Hai?

Question: 

Kisi Website Ke Link Me Http Aur Https Ka Kya Matlab Hota Hai?



Answer: 

Kisi Website Me Http Aur Https Us Website Secure (Surachit) Hone Ya Unsecure (Jo Surachit Na Ho) Hone Ki Pahchan Hai. Agar Kisi Website Ke Link Me Https Juda Hai To Wo Website Secure Hai Aur Agar Kisi Website Ke Link Me Http Juda Hai To Wo Website Secure Nahi Hai. Jaise Ki Niche Diye Huye Donon Website Ke Link Me Dekhiye Ek Me Domain Naam Ke Aage Http Laga Hai To Dusre Me Https Laga Hai –

1). Http://Www.Domainname.Com

2). Https://Www.Domainname.Com

Pahle Number Par Jo Website Dikh Raha Aesa Koi Bhi Website Puri Tarah Se Safe Nhi Hota Hai Aur Dusare Number Par Jo Website Dikh Raha Aese Saare Website Safe Hote Hain.

Kisi Website Me Http Hone Se Kya-Kya Ho Sakta Hai-

Jaise Ki Hame Pata Hai Ki Aaj-Kal Online Fraud Bahut Ho Rahe Hain Iske Kai Saare Wajah Hote Hain Jisame Se Ek Ye Hai Ki Hum Jaane Anjaane Me Unsecure Website (Aesa Website Jo Surachit Na Rahta Hai) Ko Use Karte Hain.

Unsecure Website Se Matlb Ye Hai Ki Aese Website Ko Use Karne Se Hamare Personal Information Kisi Dusare Ki Jariye Churaane Ye Kisi Dusre Tak Pahuchane Ke Chance Badh Jaate Hain.

Jab Hum Kisi Unsecure Website Ko Open Karte Hain To Wo Website Humse Kuch Permission Mangta Hai Aur Hum Allow Kar Dete Hain Aese Me Hackers Apna Kaam Kar Jaate Hain Humaare Web Browser Se Humaare Personal Data Ko Le Karke Uska Galat Use Karte Hain Jaise Ki Humaare Email Id Ko Hack Kar Lena, Hamare Banking Details Ko Hack Kar Lena, Hamare Address Aur Mobile Umber Ko Chura Lena, Humaare Pan Card, Voter Id Waigrah Ko Chura. Iske Baad Hackers Humaare Computer Ya Mobile Ke Application Ya Memories Ya Drive Ke Data Ko Bhi Access Kar Lete Hai.

In Sab Se Bachne Ke Liye Sabse Behtar Ye Hai Ki Hamesha Secure Website Ka Hi Use Kiya Jaaye.

Post a Comment

0 Comments